Hello friends is post me hum aapko batayenge ki aone Mobile Se Vehicle/Gadi Ke Number Se Malik Ka Pata Kaise Kare, humare desh bharat me kisi bhi rajya(state) ke koi bhi Vehicle ke number se uske malik ka name, pata, aur online insurance check kar sakte hai,
Iske liye aaoko 2 aasan tarike batate hai, 1 website ke madhyam se gadi ke number se malik ka pata kar sakte hai, aur dusra application ke madhayam se,
Mobile Se Vehicle/Gadi Ke Number Se Malik Ka Pata Kaise Kare
Step :1 apne mobile ke google play store par jaye aur vaha search kare, "mparivahan" aur is application ko install kare,
Is link se aap sidha mParivahan Application ko install kar sakte hai https://play.google.com/store/apps/details?id=com.nic.mparivahan&hl=en
Step :2 application ko open karke apni pasand ki language chune aur aage badhe,
Step :3 apna mobile number bhare aur OTP dal kar apna account singup kare,
Step :4 ab jaha enter RC number to get details par tach karke aap jis bhi gadi ke number se malik ka pata karna chahte hai, uski Vehicle/gadi ka number bina jagah chode type kare, udaharan DL01AA0000
Ab aapko aapne jis Vehicle/gadi ka number dala tha us Vehicle/gadi ki sari jankari aapko is prakar dekhne milegi,
- Malike ka name,
- Registration date,
- Registering authority,
- Model kab banaya gaya,
- Fuel type,
- Vehicle age,
- Vehicle class,
- Insurance validity,
Vehicle/Gadi Ke Number Se Malik Ka Pata Aur Insurance Check Kaise Kare
Step :1 apne mobile ya pc me browser khole aur search kare "mParivahan" ya fir niche di gai link ko khole,
Step :2 create account me jaye aur apna Mobile number aur email address dale, uske bad phone aur wmail dono me alag alag OTP aayega, dono OTP submit kare aur password aur confirm password enter karke apna account singup kare,
Step:3 singup karne ke bad aapke samne is tarah ka page khulega, isme apna mobile number dale jo aapne singup karte samay dala tha, aur jo Password aapne diya tha wo Password bhare aur continue kare,
Complete : ab aapko aapne jis gadi ka number diya hai, uski sari jankari aapko aise show hogi, jisme aap gadi number se malik name, gadi ka insurance aur fuel type, aur dusri jankari dekh sakte hai,
Antim
Aapko humari yah post Mobile Se Vehicle/Gadi Ke Number Se Malik Ka Pata Kaise Kare se kuch sikhna mila ho, to ise apne dosto ke sath share jarur kare, thanks...
0 Comments