Skip to main content

Top Header Ads

Google Drive Ka Istemal Kaise Kare - Google Drive Ki Puri Jankari Hindi Me

Hi guys aaj ham is post "Google Drive Ka Istemal Kaise Kare - Google Drive Ki Puri Jankari Hindi Me" me hamaapko google drive ki sari jankari batayenge jisme

  • Google Drive Ka Istemal Kaise Kare, 
  • Google Drive Me Apne Jaruri Photos Kaise Rakhe,
  • Google Drive Par Apni Photos Upload Kaise Kare, 
  • Google Drive Me File Safe Aur Secure Kaise Rakhe, 
  • Google Drive Par Pane Jaruri Documents Kaise Save Kare,
  • Google Drive Ka Istemal Karke Apni Sabhi Important File Safe Kaise Rakhe,


Google Drive Kya Hai


Google Drive ek google ki services mei se ek service hai jaise Google+, Google Play Store, Google Translate, Google Map, YouTube, Blogger, Gmail hai vaise hi Google Drive hai, jo bilul free hai, aur aap ise bina paise diye Istemal kar sakte hai,

Google Drive Ka Istemal Kyo Kare


Google Drive Ek bahot hi achchi service hai, agar aapko Google Drive ki puri jankari hai to aap uska bahot hi achche se istemal kar sakte hai,
Google Drive Istemal karne se aapko kabhi bhi apni file delete hone ka dar nahi rakhna padega, yani ki aapne ek bar google drive par jo file save ki hai, wo hamesha aapke paas rahegi,

Google Drive Ke Storage Par Ham Kya Kya Save Kar Sakte Hai

Google Drive par ham sabhi tarah ki files ko stor kar salte hai,
  • Zip File
  • Iamges File
  • Audio File (Mp3, wav) 
  • GIF
  • Videos
  • XML
  • TEXT
  • Documents

Google Drive Par Ham Kitn Storage Use Kar Sakte Hai

Google Drive Par ham 15GB tak ka Storage Free Istemal kar skate hai, (ek Google Gmail Account par 15 GB Storage Free Use kar sakte hai)
Aur ise bilkul aap apne Sd card ke Storage ki tarah hi istemal kar sakte hai,

agar isse jyada Use karna chahe to Google Drive Ka Storage Pla Upgrade kar sakte hai,

Google Drive Istemal Karne Ke Fayade

Aap agar mobile change karte hai to aapko sirf apne google drive vale gmail ko hi login karna hoga aapko sabhi files dusre mobile par aa jayega,
Google Drive par save rakhi Files Images, Audios, GIF, Videos sabhi files ko aap kabhi bhi Download kar sakte hai,

Aap apno Google Drive ko kahi bhi dekh sakte hai, application Ya Browser par, aap jitme bhi devises par apna gmail account login laroge un sabhi devises me aapko puri drive dekha sakte hai, aap jaha bhi apno google drive dekhna chahte hai vaha bus aapko aapka Google Drive vala Gmail Account login karna hoga,

Jaise aap agar kisi file ko memory Card mei rakhte hai, jaise Photos, Audio, Documents, Call Recordings to agar aisa hua ki phone kabhi damage ho jane par sath mei Memory Card (Sd Card bhi damage ho sakta hai, To usme rakhi sabhi files ko aap kho denge,

Kai log aisa bhi karte hai, ki extra sd card me apni important files ko save karke wo sd card apne wallet me rakhte hai, to ye bat aap note kar lijiye ki wallet me rakha sd card kabhi bhi damage ho sakta hai, to aisa hone par bhi aap sabhi files ko kho deni padti hai,

Sd card ko kabhi kisi phone ya computer me insert karne par bhi fail ho sakta hai, aur sd card ka koi khas bharosa nahi kar sakte sd card kabhi bhi kharab ho sakta hai, to usme rakhi aapki sabhi jaruri files jayegi,

Pendrive mei bhi aisa hota hai agar aapne apni file Pendrive par save rakhi hai to Pc, Tv ya kisi aur jagah Pendrive ko lagane par Pendrive bhi damage ho sakti hai,

Agar aapne apni sabhi important files ko google drive par save karke rakha hai to aapki wo files kabhi bhi lost nahi hogi,

Agar aap Mobile Phone Lost kar dete hai, (chori hona ya kahi kho jata hai to)
Aapko wo sabhi files aise hi rahegi aur us Gmail Accounts ko login karke apni sabhi ko dekh sakte hai,

Google Drive Security Kaisi Hai

Google's security is the world's No.1
Security ke mamale me google ki tulna koi nahi kar sakta aur Google Drive ki security sabse achchi, matlab aapki files Jo Aapne Google Drive par save ki hai, wo bilkul safe hai,
Google Drive Par Aapki save ki hui Files ko aapke alawa bina aapki permissions aur koi aapki Files nahi dekh sakta hai,

Yaha Se Padhe


Google Drive Ka Istemal Karne Ke Liye Kya Chahiye


Google Drive ko Istemal karne ke liye aapko sirf ek Google Gmail Account ki jarurat hoti hai,

Google Drive Ka Istemal Kaise Kare - Google Drive Ki Puri Jankari Hindi Me

Google Drive Ka Istemal Kaise Kare - Google Drive Ki Puri Jankari Hindi Me


1. Apne Android Mobile me Google Drive application ko open lare, My Drive par mark kiya hai vaha se aap apni drive par pahunch salte hai,
aur dusra nishan jaha lagaya hai vaha se aap Gmail Account badal sakte hai, jaise agar aap 1 se jyada Gmail Istemal karte hai to aap vaha se alag alag account change karke Istemal kar sakte hai,


Google Drive Ka Istemal Kaise Kare - Google Drive Ki Puri Jankari Hindi Me

 2. Google Drive par Files Upload karne ke liye ya New Folder banane ke liye aapko niche + Add ka nishan dikhayega vaha se aap files Upload aur New Folders bana sakte hai,

Google Drive Ka Istemal Kaise Kare - Google Drive Ki Puri Jankari Hindi Me

3. Uper jaha se add karne ke liye bataya us add button dabane ke bad aapko niche jo photo dikhaya hai wo dikhega vaha se aap apni files Upload kar sakte hai,

Google Drive Ka Istemal Kaise Kare - Google Drive Ki Puri Jankari Hindi Me

Google Drive Par Files Upload karne ke liye aap kisi bhi files ke share this options se bhi kar sakte hai,

Yaha Se Padhe


😊 Thanks for Visit.😊

Post a Comment

0 Comments